copyright:nirmalya@10-11
|
||
Mit gaye sare zakham
bus nisham baaki rahe gaya
saza puri ho gaye
karna gunaah baaki rahe gaya
chahaat kaa eik nishaan abb bhee baaki hai
Tere binn jeenaa yeh kaam abb bhee baaki hai
muskuraahaton main chuppii dard kee zubaan abb bhee baaki hai
tuu bann kar rah gayii merii jaaan teraa yeh samajhna baaki hai.
Humne jitna chaha unhe apna banana,
Unhone utna hi chaha hume satana,
Dil behelane ke aur bhi tarike hai
Par shauk tha unka hume tadpana
Ek Hum Hain Jo Unhein Bhool Hee Paate Nahin,
Ek Wo Hain Jinhein Hamaari Yaad Tak Aati Nahin,
Ishq Ki Daastaan Ajeeb Daastaan Hai Jo,
Samajh To Aati Hai Lekin Samajhai Jaati Nahin
Mujhko Udaas dekh kar, Zamane ne yeh Saawal kia
Woh kon Hai zalim, Jisne tera yeh haal kia
Maine kaha woh mohabbat hai, jo meri unke sath hai
woh nikli bewafa bus itni si baat hai.
Sham ne lipat kar pyar ka izhar kiya,
Chandani ne bikharkar Yaar ka satkar kiya.
Main khada bas dekhta raha Roop ki jalti agan,
Dil lagi ne Dilkashi se waqt ko guljar kiya.
Hum ek bewafa se rishta bana baithe
phir unke pyar mein dhoka kha baithe
paathron se tha talukaat apne,
phir bhi kya jaane kyu sheeshe ka ghar bana baithe...
Qismat ke likhay ko koi kesay mitaya kar ta he
jinsay rishtay bantay he'n dil unko azmaya kar ta he
is aazmaish me jhotay rishtay aksar toot jatay hen
doston ke darmyan insaan khud ko tanha paya karta he
Phir eik baar zakhmon say rishtaa banaa baithey
tujjhey milney kee aaas main kadam badaa baithey
dagmagaatey kadmon kay suroor main maikhaanaa kyaa raas aayaaa
hosh naa aaa jaaaye aiy sanam issii koshish main sharab say rishtaa banaa baithey
aabb hain kuch dard kee baarish kuchh sookhtey aansoo
basss angaaarey koo raaakh main badalney kaa armaan sajaa baithey.
khwab azab hotay hain
kantoon bharay gulab hotay hain
warid hown jab ye
lamhay azab hotay hain
aankh khuli to kuch na paya
par sawal hotay hian
khawaboon ki haqiqat to
din charhay utar jaye
magar kiya kareen un ratoon ka
jab ye sath hotay hain
khowjta hown dhondta hown magar
khawab to khawab hotay hian
haqiqat ki duniya mian aao
khwaboon main mat jaoo
warna wapsi kay rastay
jaisay khwab hotay hain
zindagi main paya kiya
zindagi main khoya kiya
mudatoon kay hasil to
bas yehi khwab hotay hain
Baheti hui naadi mein unka peaas hain
jalti hui shama mein unki gharmi ka ehesaas hain
kisi aur ke saath ghar basa liya humne
seene mein basi wahi bewafa pyar ka zeher ki raas hain....
banayaa tha aashiyana jisme unki murat lagayee thee
bedard zamaane ne us ko nestnabood kar diya
pyala jo bachaa ke rakha tha k mangenge pyar unse
us bewafaa ne bhi us pyale me zahar bhar diya
zeher ki piyali pi ke hum nahi mar sakte
kyu ki ush bewafai ke zeher roz pite hain aur maut bhi samne
nahi aati..
maut bhi darr gaya mera pyar dekh kar...
ke samne aane ki ushki zurat bhi nahi...
zehar maanga to bas duhayee mili
pyar maanga to sirf ruswayee mili
saath maanga to hame tanhayee mili
aur wafa chaahi to bewafayee mili
'pyar manga aur bewafai mili'
hum chaHate hain kuch aur milta kuch aur hi hain
agar koi pyar ki dua karta hain toh ushe milti hain bewafai
hum sub kyu na mil ke dua kare bewafai ki..
shayad ish pe khuda hume ek hi sacha pyar de de...
unhone to kiya hi tha mera dil jakhmi magar
jamaane ne bhi sitam kuchh kam nahi dhaye
dard apna dikhane ko nikala tha dil lekin
jaalim logon ne uspar bhi patthar hi barsaye
hum apno zakham kabhi kisi ko nahi dikhate
kyu ki log mutti bhar namak ke gumte hain...
mere sheeshe ka ghar pe toh subhi ke naam ke pathar hain
lekin phir bhi na jaane kyu ushi ghar ke darmiyan hamesha rore hain...
zakhmon par namak khud hi bhar liya
pyar ki kashti ko tufan ke hawale kar diya
koi ab aakar chhoo bhi na paye hamko
isliye khud ko supurd-e-khak ab kar diya
Us mod pe ek aaena nazar aaya.............
Yun chalte chalte ek mod pe main ruk gaya,
Thoda ghabraya sa ek chehra mil gaya,
Kuch kehna chata tha par kuch kehna paya,
Aankhon se kehta par juban tak la na paya.......
Halki muskan se use paas bulaya,
Sambhlne ko kaha.. par wohi khada ladkhadaya,
Kandhe pe le, aage mod pe use kuch samjhaya,
Khamosh aur reh na saka bheegi aankhon se kuch batlaya.......
Kuch gum the use,
Zindagi k kuch dhoke ne majboor kiya,
Jine ki as na thi use,
Maut ne bhi use lene se inkar kiya......
Mod pe ruk k intezaar wo karta raha,
Naumeed si kiran k liye khud tadpta raha,
Kuch azab si paheli wo bunta raha,
Main sehm sa gaya jab,
Us mod pe ek aaena nazar aaya.............
Maine ushe ek ishara kiya
usne salaam likh ke bheja
maine poucha tumhara naam kya hai
usne chand likh ke bheja
maine poucha tumhe kya chaheye
usne sara asmaan likh ke bheja
maine poucha kab miloge
usne qaymat ki shaam likh ke bheja
maine poucha kis se darte ho
usne mohobat ki anjaam likh ke bheja
maine poucha tumhe nafrat kis se hai
usne mera naame likh ke bheja...
yahi to baat thi jise na samajh paya tha
lifafe pe apna naam dekh muskuraya tha
kise malum tha ke likhawat ik din mit jayegi
din badlte hi unhe meri yaad tak nahi aayegi
unko toh meri yaad kabhi nahi aati
unko jub bhi dekhte mere jaan hain jaati
unke bagar meri zindagi hain aduri
intezaar unka roz karte ek halat hain jo unko nahi laati
woh aaye the meri kabr par
aur fir muskura ke chal diye
unse achchhe to mere dushman the jinki ankhon se
jhoote hi sahi do ashk to girey
mere dushman mujhe cahatein hain
ek woh hain jo nahi
mere dushman mujh se nafrat karte hain
ek woh hain jo nahi
unko apna banaya ye hamaari bhool thi
unpar apna sab kuchh lutayaa ye hamari bhool thi
unki khatir sarey jahan ko dushman banaya
meri zindgi ki na maaf karne wali sabse badi yahi bhool thi
unko pyar karke hum badnaam ho gaye
saare zaame se samne gumnaam ho gaye
na jaane kyu unse itni cahat thi
unki bewafai sahe kar hum khud se door ho gaye
|
|